Saturday, July 17, 2010

Aik Muddat Say

Boht bechain rehti hy tabyt ak muddat sy.
Dil-o-Jan ko ni mil pai ak rahat Muddat sy.
Mjhy b rok rakha hy meri masrofyat ny or.
Nahi ki tum ny bhi milny ki zehmat ak muddat sy.
Bohut Majbor hun warna boht mahsos karta hun.

Meri jan tmsy milny ki Zarorat Ak Muddat sy..
Kisi din aa k mil jaon k apna li hy ankho ny.
Tmhari yad main ronay ki adaat ak Muddat sy

Tm tark-e-taaluk ka kahin ziker na kerna...
Mein logon se keh dun ga usy fursat nahi milti


*****

Mujhy bhi Yaad rakhna jab likho tareekh-e-wafa saghar..
K maine bhi Lutaya hy Mohabbat main Sukoon Apna


*****

Tamana bujh Gaii ho to dua Maangii Nahien Jaatii..
Ruton Kii Be-Sabaatii Sey Saba Maangii Nahien Jaatii..
Liye Phirtey hain hum Kashkol Lekin Bhool Jaatey hain..
Wafa to Aik Naimat hai Wafa Maangi Nahien Jaatii.


*****

Najaane kyu rait ki tarah nikle jaate hain hathon se wo log,
jinko hum zindagi samjh kar kabhi b khona nahien chahtey


*****

Khauf-e-Raqbat sy tujhy khuwahish na batae Dil ki..
Main Jisay Chahon usay Log bht Chahty hain


*****

Bicharne ka iraada ho to muj se Mashwara karna
Mohabbat may koi bhi faysla "zaaati" nahi hota


*****

Be-wajah Nahi rota Ishq main koi GHALIB..
Jisay khud sy Barh k Chaho wo rulata Zaror hy


*****

Hain tum he ko mujh sy shikayatain pr mujhy tum sy gila nahi..
Ye Assool ham ny bana lea na Mila karon na Gila Karon


*****

Akeli waris hon main uski tamam nafraton ki Moshin..
Jo shakhs sary Shehr main banta hy Muhabatain Apni

Friday, July 16, 2010

Kaha Tha Na

Kaha tha na!
K yoon sotay huay mat chhor k jana
Muje be-shak jaga dena
bata dena!
Tumhein rasta badalna hai
Meri hud se nikalna hai.
Tumhein kis baat ka dar tha??
Tumhein janay nahin deta??
Kahin pe qaed kar leta??
Arrey pagal muhabat ki tabiyat mein zabardasti nahin hoti.
Jisey rasta badlna ho usay rasta badlne se,
Jisay Hud se nikalna ho
usay hud se niklne se,


Na koi rok paya hai, na koi rok paye ga,


Tumhein kis baat ka dar tha?
Mujhay be-shak jaga detay,
Main tum ko dekh hi leta,
Tumhein koi dua deta,
Kum-az-kum yoon to na hota.Meray sathi ye hakikat hai,
Tumharay baad khonay k liye kuch b nahin baaki,
Magar khonay se darta hoon,
"MAIN AB SONAY SE DARTA HOON".
kaha usne bharosa dil pe itna nahien karte
kaha meine mohabbat mein socha nahien karte
kaha usne bhut khush rang dunya ke nazare hein
kaha meine jab tum ho to hum kuch dekha nahien karte
kaha usne ke mein tum se door hoon lekin tumhara hoon
kaha meine ke sapne dil ko bahlaya nahien karte
kaha usne tumhari chahat tumhe ruswayian de ge
kaha meine shohrat se ghabraya nahien karte
kaha us ne samajh jao samajh jao ae mere dost
kaha meine dewane ko samjhaya nahien karte




Jane Kaun

jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta
shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta
mujhse kehta hai, "main to mar jaunga tumhare bina"
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta

Der Kitni Lagte Hai

aag ho to jalane mein der kitani lagati hai,
barf ke pighalane men der kitani lagati hai,


chahe koi ruk jaaye chahe koi rah jaaye,
qaafilon ko chalane men der kitani lagati hai,


chaahe koi jaisa bhi hamsafar ho sadiyon se,
rasta badalane men der kitani lagati hai,


ye to waqt ke bas mein hai ke kitani mohalat de,
warna bakht dhakane mein der kitani lagati hai.

Kisi Rooz

Dard Kia Hota Hai Batainge Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunainge Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolainge Kisi Rooz

RAB KI Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhainge Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajainge Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayeinge Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhainge Kisi Rooz

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se,

Us Ki Galiyon Mey Pari Khaak Bana De Mujh Ko


********

Chalo k mout sy krty hain "Aaghaz-e-Mohabbat"
Zinda rahy to bicharny ka dar sa rahy ga.